Showing posts with label Sad. Show all posts
Showing posts with label Sad. Show all posts

Main Bhool Gaya Tha Kay Muhabbat Kay Shehar Say

Main Bhool Gaya Tha Kay Muhabbat Kay Shehar Say

Main bhool gaya tha k muhabbat k shehar say
Ik bar gaya hai jo palat-ta he nahin hai

Tinko'n ka gharonda hai muhabbat ka jahan bhi
Ik bar jo bikhray tu simat-ta he nahin hai

Khamosh nigaaho'n main koi baat hai pinhaa'n
Bay wajha yeh kajal tu bikharta he nahin hai

Hum bhoolna na paaein gay bhulain gay bhi kaisay
Woh shaks nigaahon say nikalta he nahin hai

Us shaks ki nafrat ka samandar bhi anokha
Jis waqt say bhi bip-phra hai sa'nbhalta hi nahin hai

Woh chorr gaya hai meray is dil k shajar pay
Ik aas ka mosam k badalta hi nahin hai
میں بھول گیا تھا کہ محبت کے شہر سے
اک بار گیاہے جو وہ پلٹتا ہی نہیں ہے
تنکوں کا گھروندا ہے محبت کا جہاں بھی
اک بار جو بکھرے تو سمٹتا ہی نہیں ہے
خاموش نگاہوں میں کوئی بات ہے پنہاں
بے وجہ یہ کاجل تو بکھرتا ہی نہیں ہے
ہم بھولنا نہ چاہیں گے، بھولیں گے بھی کیسے
وہ شخص نگاہوں سے نکلتا ہی نہیں ہے
اس شخص کی نفرت کا سمندر بھی انوکھا
جس وقت سے بپھرا ہے سنبھلتا ہی نہیں ہے
وہ چھوڑ گیا ہے میرے اس دل کے شجر پہ
اک آس کا موسم کہ بدلتا ہی نہیں ہے

Kabhii youn bhii aa merii aankh mein k merii nazar ko Khabar na ho


kabhii youn bhii aa merii aankh mein k merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz day magar usk baad sahar na ho

Wo baraa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa karay
tujhy bhuulnay kii duaa karun to dua mein merii asar na ho

Mere baazu’on mein thakii thakii , abhii mehv-e-Khwaab hai chaandanii
Na uthay sitaaron kii paal’ki, abhii aahaton kaa guzar na ho

Ye ghazal k jaisay hiran kii aankhon mein pichh’lii raat kii chaandanii
Na bujhay Kharaabi kii roshanii, kabhii becharaaGi ye  ghar na ho

Wo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mehkay gii ek din
Wo gulaab ban k khilegaa kyaa, jo chiraagh ban ke jalaa na ho

Kabhii dhoop dy, kabhii bad’liyaan, dil-o-jaan se donon qabul hain
magar us nagar mein na qaid kar jahaan zindagii kii hawaa na ho

Kabhii din kii dhoop mein jhoom k kabhii shab k phool ko choom k
Younhii saath saath chalein sadaa kabhii Khatm apnaa safar na ho

Mere paas mere habiib aa zaraa or dil k qariib aa
Tujhe dharakanon mein basaa loun main k bichharnay kaa kabhii Dar na ho

Kahan aa kay ruknay thay rastay! kahan mor tha! usay bhool ja


Kahan aa kay ruknay thay rastay! kahan mor tha! usay bhool ja
Wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja
Wo teray naseeb ki barishain kisi aur chatt pay baras gayeen
Dil-e-bay khabar meri bat sun, usay bhool ja, usay bhool ja
Main to gum tha teray hi dhiyaan main, teri aas, teray gumman mein
Sabaaa keh gai meray kaan main, meray sath aa, usay bhool ja
Kaheen chak-e-jaan ka rafoo nahi, kisi aasteen pay lahoo nahi
K shaheed-e-rah-e-malal ka nahi khoon baha, usay bhool ja
Kisi aankh main nahi ashk-e-ghum, teray baad kuch bhi nahi hai kum
Tujhay zindgi nay bhula diya, tu bhi muskura, usay bhool ja
Kiyon ataa hua hai ghubaar main, ghum-e-zindgi k fishaar main
Wo jo dard tha teray bakht main, so wo ho gaya, usay bhool ja
Na wo aankh teri aankh thi, na wo khwaab hi tera khwaab tha
Dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jaagna, usay bhool ja
Ye  jo raat din ka khail sa, isay daikh, is per yaqeen na ker
Nahi aks koi bhi mustaqil, sar-e-aaina, usay bhool ja
Jo bisat-e-jaan he ulat gaya, wo jo raastay say palat gaya
Usay rooknay say  hasool kia, usay mat bula, usay bhool ja
To ye kis liye shab-e-hijr k her sitaray main usay daikhna
Wo falak ke jis pay milay thay hum, koi or tha, usay bhool ja
Tujhay chaand ban k mila tha jo, teray sahiloon pay khila tha jo
Wo tha aik dariya wasal ka so utar gaya, usay bhool ja