kabhii youn bhii aa merii aankh mein k merii nazar ko Khabar
na ho
mujhe ek raat navaaz day magar usk baad sahar na ho
Wo baraa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa karay
tujhy bhuulnay kii duaa karun to dua mein merii asar na ho
Mere baazu’on mein thakii thakii , abhii mehv-e-Khwaab hai
chaandanii
Na uthay sitaaron kii paal’ki, abhii aahaton kaa guzar na ho
Ye ghazal k jaisay hiran kii aankhon mein pichh’lii raat kii
chaandanii
Na bujhay Kharaabi kii roshanii, kabhii becharaaGi ye ghar na ho
Wo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mehkay gii ek din
Wo gulaab ban k khilegaa kyaa, jo chiraagh ban ke jalaa na
ho
Kabhii dhoop dy, kabhii bad’liyaan, dil-o-jaan se donon qabul
hain
magar us nagar mein na qaid kar jahaan zindagii kii hawaa na
ho
Kabhii din kii dhoop mein jhoom k kabhii shab k phool ko choom
k
Younhii saath saath chalein sadaa kabhii Khatm apnaa safar
na ho
Mere paas mere habiib aa zaraa or dil k qariib aa
Tujhe dharakanon mein basaa loun main k bichharnay kaa
kabhii Dar na ho
No comments:
Post a Comment