Kahan aa kay ruknay thay rastay! kahan mor tha! usay bhool ja


Kahan aa kay ruknay thay rastay! kahan mor tha! usay bhool ja
Wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja
Wo teray naseeb ki barishain kisi aur chatt pay baras gayeen
Dil-e-bay khabar meri bat sun, usay bhool ja, usay bhool ja
Main to gum tha teray hi dhiyaan main, teri aas, teray gumman mein
Sabaaa keh gai meray kaan main, meray sath aa, usay bhool ja
Kaheen chak-e-jaan ka rafoo nahi, kisi aasteen pay lahoo nahi
K shaheed-e-rah-e-malal ka nahi khoon baha, usay bhool ja
Kisi aankh main nahi ashk-e-ghum, teray baad kuch bhi nahi hai kum
Tujhay zindgi nay bhula diya, tu bhi muskura, usay bhool ja
Kiyon ataa hua hai ghubaar main, ghum-e-zindgi k fishaar main
Wo jo dard tha teray bakht main, so wo ho gaya, usay bhool ja
Na wo aankh teri aankh thi, na wo khwaab hi tera khwaab tha
Dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jaagna, usay bhool ja
Ye  jo raat din ka khail sa, isay daikh, is per yaqeen na ker
Nahi aks koi bhi mustaqil, sar-e-aaina, usay bhool ja
Jo bisat-e-jaan he ulat gaya, wo jo raastay say palat gaya
Usay rooknay say  hasool kia, usay mat bula, usay bhool ja
To ye kis liye shab-e-hijr k her sitaray main usay daikhna
Wo falak ke jis pay milay thay hum, koi or tha, usay bhool ja
Tujhay chaand ban k mila tha jo, teray sahiloon pay khila tha jo
Wo tha aik dariya wasal ka so utar gaya, usay bhool ja

No comments:

Post a Comment